main ne kya kaam la-jawaab kiya
us ko aalam mein intikhaab kiya
karam us ke sitam se badh kar the
aaj jab baith kar hisaab kiya
kaise moti chhupaaye aankhon mein
haaye kis fan ka iktisaab kiya
kaisi majbooriyaan naseeb mein theen
zindagi ki ki ik azaab kiya
saath jab gard-e-koo-e-yaar rahi
har safar ham ne kaamyaab kiya
kuchh hamaare likhe gaye qisse
baare kuchh daakhil nisaab kiya
kya ubaid ab use main doon ilzaam
apna khaana to khud kharab kiya
मैं ने क्या काम ला-जवाब किया
उस को आलम में इंतिख़ाब किया
करम उस के सितम से बढ़ कर थे
आज जब बैठ कर हिसाब किया
कैसे मोती छुपाए आँखों में
हाए किस फ़न का इकतिसाब किया
कैसी मजबूरियाँ नसीब में थीं
ज़िंदगी की कि इक अज़ाब किया
साथ जब गर्द-ए-कू-ए-यार रही
हर सफ़र हम ने कामयाब किया
कुछ हमारे लिखे गए क़िस्से
बारे कुछ दाख़िल निसाब किया
क्या 'उबैद' अब उसे मैं दूँ इल्ज़ाम
अपना ख़ाना तो ख़ुद ख़राब किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Life Shayari Shayari