doosron ki aankh le kar bhi pashemaani hui
ab bhi ye duniya hamein lagti hai pahchaani hui
ashk ki be-rang kheti muddaton mein lahlahaai
pehle kitna qahat tha ab kuchh faraavani hui
khud ko ham pehchaan paaye ye bahut achha hua
jism ke haijaan mein roohon ki uryaani hui
main to ik khushboo ka jhonka tere daaman ka hi tha
boo-e-gul se aa mila kyun tujh ko hairaani hui
us ka bazaar-e-hawas mein qadar-daan hi kaun tha
jins-e-dil ki phir yahan kyun itni arzaani hui
दूसरों की आँख ले कर भी पशेमानी हुई
अब भी ये दुनिया हमें लगती है पहचानी हुई
अश्क की बे-रंग खेती मुद्दतों में लहलहाई
पहले कितना क़हत था अब कुछ फ़रावानी हुई
ख़ुद को हम पहचान पाए ये बहुत अच्छा हुआ
जिस्म के हैजान में रूहों की उर्यानी हुई
मैं तो इक ख़ुशबू का झोंका तेरे दामन का ही था
बू-ए-गुल से आ मिला क्यूँ तुझ को हैरानी हुई
उस का बाज़ार-ए-हवस में क़दर-दाँ ही कौन था
जिंस-ए-दिल की फिर यहाँ क्यूँ इतनी अर्ज़ानी हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Khushboo Shayari Shayari