ham ne aankh se dekha kitne suraj nikle doob gaye
lekin taaron se poocho kab nikle chamke doob gaye
do saaye pehle aakaash tale saahil par baithe the
lehron ne liptaana chaaha aur bechaare doob gaye
pedon par jo naam likhe the vo to ab bhi baaki hain
lekin jitne bhi taalaab mein patthar fenke doob gaye
unche ghar aakaash chhupa kar apne aap pe naazaan hain
chaaron or khule aakaash ke suraj peeche doob gaye
ab to hamein ik she'r ka hona bhi naa-mumkin lagta hai
ab to din ki neeli jheel mein raat ke taare doob gaye
हम ने आँख से देखा कितने सूरज निकले डूब गए
लेकिन तारों से पूछो कब निकले चमके डूब गए
दो साए पहले आकाश तले साहिल पर बैठे थे
लहरों ने लिपटाना चाहा और बेचारे डूब गए
पेड़ों पर जो नाम लिखे थे वो तो अब भी बाक़ी हैं
लेकिन जितने भी तालाब में पत्थर फेंके डूब गए
ऊँचे घर आकाश छुपा कर अपने आप पे नाज़ाँ हैं
चारों ओर खुले आकाश के सूरज पीछे डूब गए
अब तो हमें इक शे'र का होना भी ना-मुम्किन लगता है
अब तो दिन की नीली झील में रात के तारे डूब गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Raat Shayari Shayari