gale lag kar mere vo jaane hansta tha ki rota tha | गले लग कर मिरे वो जाने हँसता था कि रोता था

  - Ejaz Obaid

gale lag kar mere vo jaane hansta tha ki rota tha
na khul kar dhoop phaili thi na baadal khul ke barsa tha

kabhi dil bhi nahin ik zakham aankhon ki jagah aansu
kabhi main bhi na tha bas diary mein she'r likkha tha

vo har pal saath hai mere kahaan tak us ko main dekhoon
gaye vo din ki us ke naam par bhi dil dhadakta tha

yahan har kashti-e-jaan par kai maanjhi mukarrar the
udhar saazish thi paani ki idhar qaziya hawa ka tha

chhupa kar le gaya apne dukhon ko saari duniya se
laga tha yun to ham tum sa vo farmaish bala ka tha

गले लग कर मिरे वो जाने हँसता था कि रोता था
न खुल कर धूप फैली थी न बादल खुल के बरसा था

कभी दिल भी नहीं इक ज़ख़्म आँखों की जगह आँसू
कभी मैं भी न था बस डाइरी में शे'र लिक्खा था

वो हर पल साथ है मेरे कहाँ तक उस को मैं देखूँ
गए वो दिन कि उस के नाम पर भी दिल धड़कता था

यहाँ हर कश्ती-ए-जाँ पर कई माँझी मुक़र्रर थे
उधर साज़िश थी पानी की इधर क़ज़िया हवा का था

छुपा कर ले गया अपने दुखों को सारी दुनिया से
लगा था यूँ तो हम तुम सा वो जादूगर बला का था

  - Ejaz Obaid

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Obaid

As you were reading Shayari by Ejaz Obaid

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Obaid

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari