jo ja chuke hain ghaliban utren kabhi zeena tira | जो जा चुके हैं ग़ालिबन उतरें कभी ज़ीना तिरा

  - Ejaz Obaid

jo ja chuke hain ghaliban utren kabhi zeena tira
ai kahkashaan ai kahkashaan raushan rahe rasta tira

khoon-naba-e-dil ki kasheed aakhir ko tire dam se hai
kehne ko mera may-kada lekin hai may-khaana tira

pal-bhar mein baadal chha gaye aur khoob barsaatein hui
kal chaudahveen ki raat mein kuchh yun khayal aaya tira

ai zindagi ai zindagi kuchh raushni kuchh raushni
chala raha tha shehar mein muddat se deewaana tira

ab gaaykon mein naam hai warna jo apne geet the
saare dil ke zakham the dar-asl ehsaan tha tira

ghazlein meri tere liye yaadein tiri mere liye
ye ishq hai pounji meri ye she'r sarmaaya tira

जो जा चुके हैं ग़ालिबन उतरें कभी ज़ीना तिरा
ऐ कहकशाँ ऐ कहकशाँ रौशन रहे रस्ता तिरा

ख़ूँ-नाबा-ए-दिल की कशीद आख़िर को तिरे दम से है
कहने को मेरा मय-कदा लेकिन है मय-ख़ाना तिरा

पल-भर में बादल छा गए और ख़ूब बरसातें हुईं
कल चौदहवीं की रात में कुछ यूँ ख़याल आया तिरा

ऐ ज़िंदगी ऐ ज़िंदगी कुछ रौशनी कुछ रौशनी
चला रहा था शहर में मुद्दत से दीवाना तिरा

अब गायकों में नाम है वर्ना जो अपने गीत थे
सारे दिल के ज़ख़्म थे दर-अस्ल एहसाँ था तिरा

ग़ज़लें मिरी तेरे लिए यादें तिरी मेरे लिए
ये इश्क़ है पूँजी मिरी ये शे'र सरमाया तिरा

  - Ejaz Obaid

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Obaid

As you were reading Shayari by Ejaz Obaid

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Obaid

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari