gham bhi utna nahin ki tum se kahein
aur chaara nahin ki tum se kahein
aaj ham be-karaan samundar hain
tum vo dariya nahin ki tum se kahein
yun to marne se chain milta hai
ye iraada nahin ki tum se kahein
neeli aankhon ki chaandni ke liye
ab andhera nahin ki tum se kahein
tum akela nahin rahe to kya
ham bhi tanhaa nahin ki tum se kahein
ab na vo gham ki apne haath ubaid
shabnam-aasaa nahin ki tum se kahein
ग़म भी उतना नहीं कि तुम से कहें
और चारा नहीं कि तुम से कहें
आज हम बे-कराँ समुंदर हैं
तुम वो दरिया नहीं कि तुम से कहें
यूँ तो मरने से चैन मिलता है
ये इरादा नहीं कि तुम से कहें
नीली आँखों की चाँदनी के लिए
अब अंधेरा नहीं कि तुम से कहें
तुम अकेले नहीं रहे तो क्या
हम भी तन्हा नहीं कि तुम से कहें
अब न वो ग़म कि अपने हाथ 'उबैद'
शबनम-आसा नहीं कि तुम से कहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Tanhai Shayari Shayari