dikhaata kya hai ye tooti hui kamaan mujhe
tira shikaar hoon achhi tarah se jaan mujhe
hawa ne ret ki soorat zameen pe likh di hai
dikhaai deti hai patthar ki daastaan mujhe
ik aasmaan ne zameen par gira diya lekin
zameen ne phir se bana daala aasmaan mujhe
main is hawa ka nahin paaniyon ka qaaidi hoon
na jaane kyun liye firta hai baadbaan mujhe
zameen se sirf jazeera dikhaai deta hai
koi na jaan saka aaj tak chataan mujhe
na jaane teer ki maanind kaise chubhne laga
vo shakhs lagta tha tooti hui kamaan mujhe
दिखाता क्या है ये टूटी हुई कमान मुझे
तिरा शिकार हूँ अच्छी तरह से जान मुझे
हवा ने रेत की सूरत ज़मीं पे लिख दी है
दिखाई देती है पत्थर की दास्तान मुझे
इक आसमाँ ने ज़मीं पर गिरा दिया लेकिन
ज़मीं ने फिर से बना डाला आसमान मुझे
मैं इस हवा का नहीं पानियों का क़ैदी हूँ
न जाने क्यूँ लिए फिरता है बादबान मुझे
ज़मीं से सिर्फ़ जज़ीरा दिखाई देता है
कोई न जान सका आज तक चटान मुझे
न जाने तीर की मानिंद कैसे चुभने लगा
वो शख़्स लगता था टूटी हुई कमान मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Hawa Shayari Shayari