tha vo jungle ki nagar yaad nahin | था वो जंगल कि नगर याद नहीं

  - Ejaz Obaid

tha vo jungle ki nagar yaad nahin
kya thi vo raahguzar yaad nahin

ye khayal aata hai main khush tha bahut
kis taraf tha mera ghar yaad nahin

kya thi vo shakl pe bholi thi bahut
pyaara sa naam tha par yaad nahin

zakhamon ke phool hain dil mein ab bhi
kis ne bakshe the magar yaad nahin

ik ghani chaanv mein din beeta hai
shab kahaan ki thi basar yaad nahin

ek lamha to dhadakta hai zaroor
kai sadiyon ka safar yaad nahin

taq the dastaan kehne mein ubaid
ab b-juz deeda-e-tar yaad nahin

था वो जंगल कि नगर याद नहीं
क्या थी वो राहगुज़र याद नहीं

ये ख़याल आता है मैं ख़ुश था बहुत
किस तरफ़ था मिरा घर याद नहीं

क्या थी वो शक्ल पे भोली थी बहुत
प्यारा सा नाम था पर याद नहीं

ज़ख़्मों के फूल हैं दिल में अब भी
किस ने बख़्शे थे मगर याद नहीं

इक घनी छाँव में दिन बीता है
शब कहाँ की थी बसर याद नहीं

एक लम्हा तो धड़कता है ज़रूर
कई सदियों का सफ़र याद नहीं

ताक़ थे दास्ताँ कहने में 'उबैद'
अब ब-जुज़ दीदा-ए-तर याद नहीं

  - Ejaz Obaid

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Obaid

As you were reading Shayari by Ejaz Obaid

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Obaid

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari