dast-e-shafqat kata aur hawa mein mualllaq hua
aankh jhapki to palkon pe thehri hui khwaahishein dhool mein at gaeein
sheher-e-beena ki sadkon pe naa-beena chalne lage
ek na-deeda talwaar dil mein utarne lagi
paanv ki dhool zanjeer ban kar chankane lagi aur qadam sabz-roo khaak se khauf khaane lage
zehan mein ajnabi sarzameen ke khayaalaat aane lage
saare naa-beena ik doosre ka sahaara bane
sar pe kaanton bhara taaj aur haath mein motiye ki chhadi thaam kar
door se aane waali sada ke ta'aqub mein yun chal pade
jaise un ka maseeha isee samt ho
jaise un ke maseeha ki aankhon mein sirf un ki tasveer ho
jaise un ke khayaalon mein khilti zameen un ki jaageer ho
दस्त-ए-शफ़क़त कटा और हवा में मुअल्लक़ हुआ
आँख झपकी तो पलकों पे ठहरी हुई ख़्वाहिशें धूल में अट गईं
शहर-ए-बीना की सड़कों पे ना-बीना चलने लगे
एक नादीदा तलवार दिल में उतरने लगी
पाँव की धूल ज़ंजीर बन कर छनकने लगी और क़दम सब्ज़-रू ख़ाक से ख़ौफ़ खाने लगे
ज़ेहन में अजनबी सरज़मीं के ख़यालात आने लगे
सारे ना-बीना इक दूसरे का सहारा बने
सर पे काँटों भरा ताज और हाथ में मोतिए की छड़ी थाम कर
दूर से आने वाली सदा के तआ'क़ुब में यूँ चल पड़े
जैसे उन का मसीहा इसी सम्त हो
जैसे उन के मसीहा की आँखों में सिर्फ़ उन की तस्वीर हो
जैसे उन के ख़यालों में खिलती ज़मीं उन की जागीर हो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Rizvi
As you were reading Environment Shayari Shayari