sharq se ghurb tak
arsh se farsh tak
ya karaan ta karaan
ek sannaata faila hua
meri bekal jabeen ke tilismaat se
teri bechain baanhon ke ilhaam tak
tishna honton se halchal bhare jaam tak
un ki aankhon ke raushan diyon se
meri arghwaani ghani shaam tak
ya karaan ta karaan
ek sannaata faila hua
kahkashaan bujh gai raaste mein kahi
rang-e-noor-e-sehr loot gaya
aasmaanon mein uljha hua
mai-kada noor ka
dilbaraan-e-haram
thak ke gumnaam raston mein gum ho gaye
rang-e-mahtaab kumhala gaya
mah-rukhan
chashm-e-aahoo sifat
mast madmaati shaamon mein
hasrat ki dahleez par
aah bharte rahe
aur saba raat bhar
zard mahtaab ki aanch mein
khaak bar-sar bhatkati rahi
ya karaan ta karaan
ek sannaata faila hua
halka-e-aashiqan se lab-e-baam tak
dast-e-saaqi se dard-e-tah-e-jaam tak
deed-e-beena se bismil ke anjaam tak
ma'badon ki khamoshi se hangaama-e-majmaa-e-aam tak
shehar-e-afsoos ki teera-o-taar galiyon se
raushan damkati hui shaara-e-aam tak
yaa karaan ta karaan
ek sannaata faila hua
rabb-e-ma'bood gum aasmaanon mein hai
gung-o-khaamosh hai
baadshaah-e-jahaan wali-e-ma-siwa naaeb-allah-fil-arz
kaun-o-makaan
ishq ka maajra
husn ka maajra
dard ka maajra
ya khuda
ya khuda
kuchh sabeel-e-jazaa
dil dhadkane ko koi bahaana
khuda
शर्क़ से ग़र्ब तक
अर्श से फ़र्श तक
या कराँ ता कराँ
एक सन्नाटा फैला हुआ
मेरी बेकल जबीं के तिलिस्मात से
तेरी बेचैन बाँहों के इल्हाम तक
तिश्ना होंटों से हलचल भरे जाम तक
उन की आँखों के रौशन दियों से
मिरी अर्ग़वानी घनी शाम तक
या कराँ ता कराँ
एक सन्नाटा फैला हुआ
कहकशाँ बुझ गई रास्ते में कहीं
रंग-ए-नूर-ए-सहर लुट गया
आसमानों में उलझा हुआ
मै-कदा नूर का
दिलबरान-ए-हरम
थक के गुमनाम रस्तों में गुम हो गए
रंग-ए-महताब कुम्हला गया
मह-रुख़ाँ
चश्म-ए-आहू सिफ़त
मस्त मदमाती शामों में
हसरत की दहलीज़ पर
आह भरते रहे
और सबा रात भर
ज़र्द महताब की आँच में
ख़ाक बर-सर भटकती रही
या कराँ ता कराँ
एक सन्नाटा फैला हुआ
हल्का-ए-आशिक़ाँ से लब-ए-बाम तक
दस्त-ए-साक़ी से दुर्द-ए-तह-ए-जाम तक
दीद-ए-बीना से बिस्मिल के अंजाम तक
मा'बदों की ख़मोशी से हंगामा-ए-मजमा'-ए-आम तक
शहर-ए-अफ़्सोस की तीरा-ओ-तार गलियों से
रौशन दमकती हुई शारा-ए-आम तक
याँ कराँ ता कराँ
एक सन्नाटा फैला हुआ
रब्ब-ए-मा'बूद गुम आसमानों में है
गुंग-ओ-ख़ामोश है
बादशाह-ए-जहाँ वाली-ए-मा-सिवा नाएब-अल्लाह-फ़िल-अर्ज़
कौन-ओ-मकाँ
इश्क़ का माजरा
हुस्न का माजरा
दर्द का माजरा
या ख़ुदा
या ख़ुदा
कुछ सबील-ए-जज़ा
दिल धड़कने को कोई बहाना
ख़ुदा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ekram Khawar
As you were reading Neend Shayari Shayari