dil-e-wahshi junoon ki kaun si manzil thi kal shab | दिल-ए-वहशी जुनूँ की कौन सी मंज़िल थी कल शब

  - Ekram Khawar

dil-e-wahshi junoon ki kaun si manzil thi kal shab
jahaan baaham hue qazzaaq-dilbar
chale khanjar gale par aasteen par
dil-o-daaman pe dastaar-o-jabeen par
ajab ek shor tha mahshar bapaa tha

bahut aah-o-fughaan andoh jaani
hazaaron zakham aur ek sakht jaani

na jaane shiddat-e-yalghaar kya thi
nahin ma'aloom kya muddat rahi
kisht-e-nigaaraan ki
khuli jab aankh to
ek tootte nashe ka aalam tha
shafaq-goon tha ufuq dil ka
chaman ka raasta dhabbon se pur tha
aur saba daaman mein apne khoon ki boo baas rakhti thi
nazaara deedaani tha
aur dil-e-betaab ne dekha

lahu se laal hai sehan-e-chaman aur har taraf
bad-rang khun ki laala-kaari hai
nageena dil ka sau tukde pada hai
aur har tukde mein koi aks-e-wahshi hai

dil-o-dilbar ki aashuftaa-sari hai
dil-o-dilbar ki raahon mein
faqat sheeshe ki kirchen hain

दिल-ए-वहशी जुनूँ की कौन सी मंज़िल थी कल शब
जहाँ बाहम हुए क़ज़्ज़ाक़-दिलबर
चले ख़ंजर गले पर आस्तीं पर
दिल-ओ-दामन पे दस्तार-ओ-जबीं पर
अजब एक शोर था महशर बपा था

बहुत आह-ओ-फ़ुग़ाँ अंदोह जानी
हज़ारों ज़ख़्म और एक सख़्त जानी

न जाने शिद्दत-ए-यलग़ार क्या थी
नहीं मा'लूम क्या मुद्दत रही
किश्त-ए-निगाराँ की
खुली जब आँख तो
एक टूटते नशे का आलम था
शफ़क़-गूँ था उफ़ुक़ दिल का
चमन का रास्ता धब्बों से पुर था
और सबा दामन में अपने ख़ून की बू बास रखती थी
नज़ारा दीदनी था
और दिल-ए-बेताब ने देखा

लहू से लाल है सेहन-ए-चमन और हर तरफ़
बद-रंग ख़ूँ की लाला-कारी है
नगीना दिल का सौ टुकड़े पड़ा है
और हर टुकड़े में कोई अक्स-ए-वहशी है

दिल-ओ-दिलबर की आशुफ़्ता-सरी है
दिल-ओ-दिलबर की राहों में
फ़क़त शीशे की किर्चें हैं

  - Ekram Khawar

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ekram Khawar

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari