jin dinon | जिन दिनों

  - Ekram Khawar

jin dinon
main apni tanhaai ka nauha likh raha tha
bastiyaan aabaad theen raunaq bhari thi shaam
aur jaada gulaabi
taaza taaza shehar mein daakhil hua tha
jin dinon main
paa-pyaada aur phir sada zabaan mein
soz-ha-e-andarun ke qissa-e-paareena ki tafseel mein ta'beer mein
uljha hua tha
bhediyae azaad the
aur ek qaateel raag
bajaata ja raha tha
khoob-tar se khoob-tar tha
qatl ka naghma
jis ne jo samjha wahi taarikh thi
khwaja-sara-e-sheher daarussalatnat mein
karbala ke huzn mein
ek vahshiyaana raqs ki takhleeq mein masraf tha
aur sab tamaashaai sabhi maqtool saare
dam-b-khud mabahoot khaamoshi se sunte ja rahe the
aur mauseeqi se lag-bhag na-bald har shakhs
agli saf mein baitha
taal ki har gat par har jhankaar pe
behaal hota ja raha tha

ek qaateel aur sureela raag
bajaata ja raha tha

जिन दिनों
मैं अपनी तन्हाई का नौहा लिख रहा था
बस्तियाँ आबाद थीं रौनक़ भरी थी शाम
और जाड़ा गुलाबी
ताज़ा ताज़ा शहर में दाख़िल हुआ था
जिन दिनों मैं
पा-प्यादा और फिर सदा ज़बाँ में
सोज़-हा-ए-अंदरूँ के क़िस्सा-ए-पारीना की तफ़्सील में ता'बीर में
उलझा हुआ था
भेड़िये आज़ाद थे
और एक क़ातिल राग
बजाता जा रहा था
ख़ूब-तर से ख़ूब-तर था
क़त्ल का नग़्मा
जिस ने जो समझा वही तारीख़ थी
ख़्वाजा-सरा-ए-शहर दारुस्सलतनत में
कर्बला के हुज़्न में
एक वहशियाना रक़्स की तख़्लीक़ में मसरफ़ था
और सब तमाशाई सभी मक़्तूल सारे
दम-ब-ख़ुद मबहूत ख़ामोशी से सुनते जा रहे थे
और मौसीक़ी से लग-भग ना-बलद हर शख़्स
अगली सफ़ में बैठा
ताल की हर गत पर हर झंकार पे
बेहाल होता जा रहा था

एक क़ातिल और सुरीला राग
बजाता जा रहा था

  - Ekram Khawar

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ekram Khawar

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari