jab phail ke veeraanon se veeraane milenge
dil khol ke deewaanon se deewane milenge
ai koo-e-khamoshi ki taraf bhaagne waalo
har gaam pe afsaane hi afsaane milenge
zanjeer liye haathon mein kuchh soch rahe hain
zindaan mein bahut aise bhi deewane milenge
jo garmi-e-mehfil se jala lete hain shamaein
parvaanon mein kuchh aise bhi parwaane milenge
haan dekh zara phail ke ai tishnagi-e-shauq
har jaam mein simte hue may-khaane milenge
जब फैल के वीरानों से वीराने मिलेंगे
दिल खोल के दीवानों से दीवाने मिलेंगे
ऐ कू-ए-ख़मोशी की तरफ़ भागने वालो
हर गाम पे अफ़्साने ही अफ़्साने मिलेंगे
ज़ंजीर लिए हाथों में कुछ सोच रहे हैं
ज़िंदाँ में बहुत ऐसे भी दीवाने मिलेंगे
जो गर्मी-ए-महफ़िल से जला लेते हैं शमएँ
परवानों में कुछ ऐसे भी परवाने मिलेंगे
हाँ देख ज़रा फैल के ऐ तिश्नगी-ए-शौक़
हर जाम में सिमटे हुए मय-ख़ाने मिलेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Sazaa Shayari Shayari