khwaabon ke sanam-khaane jab dhaaye gaye honge
us daur ke sab aazar bulwaaye gaye honge
tu bhi na bachi hogi ai aafiyat-andeshi
har samt se jab patthar barsaaye gaye honge
phir us ne masaail ka hal dhundh liya hoga
phir log masaail mein uljhaaye gaye honge
ham guzre ki tum guzre ye dekhne kaun aata
the jitne tamaashaai sab laaye gaye honge
yaaraan-e-qadeh se kuchh laghzish bhi hui hogi
daanista bhi kuchh saaghar chhalkaaye gaye honge
afzal ka muqaddar hai haq-goi-o-ruswaai
sach baat kahi hogi jhutlaaye gaye honge
ख़्वाबों के सनम-ख़ाने जब ढाए गए होंगे
उस दौर के सब आज़र बुलवाए गए होंगे
तू भी न बची होगी ऐ आफ़ियत-अंदेशी
हर सम्त से जब पत्थर बरसाए गए होंगे
फिर उस ने मसाइल का हल ढूँड लिया होगा
फिर लोग मसाइल में उलझाए गए होंगे
हम गुज़रे कि तुम गुज़रे ये देखने कौन आता
थे जितने तमाशाई सब लाए गए होंगे
यारान-ए-क़दह से कुछ लग़्ज़िश भी हुई होगी
दानिस्ता भी कुछ साग़र छलकाए गए होंगे
'अफ़ज़ल' का मुक़द्दर है हक़-गोई-ओ-रुसवाई
सच बात कही होगी झुटलाए गए होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Kismat Shayari Shayari