dars-e-aaraam mere zauq-e-safar ne na diya | दर्स-ए-आराम मेरे ज़ौक़-ए-सफ़र ने न दिया

  - Ezaz Afzal

dars-e-aaraam mere zauq-e-safar ne na diya
mujh ko manzil pe bhi zalim ne thehrne na diya

raqs karti rahi toofaan mein kashti meri
meri himmat ne mujhe paar utarne na diya

zindagi maut se bad-tar thi par ai wa'da-e-dost
lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya

multafit kal nazar aati theen nigaahen un ki
kahi dhoka to mujhe meri nazar ne na diya

yun to rahne ko pareshaani-e-khaatir hi rahi
teri zulfon ko magar main ne bikharna na diya

phool to phool the ai khaana-bar-andaaz-e-chaman
tu ne kaanton se bhi daaman mujhe bharne na diya

inheen alfaaz mein hai meri kahaani afzal
gham ne jeene na diya shauq ne marne na diya

दर्स-ए-आराम मेरे ज़ौक़-ए-सफ़र ने न दिया
मुझ को मंज़िल पे भी ज़ालिम ने ठहरने न दिया

रक़्स करती रही तूफ़ान में कश्ती मेरी
मेरी हिम्मत ने मुझे पार उतरने न दिया

ज़िंदगी मौत से बद-तर थी पर ऐ वा'दा-ए-दोस्त
लज़्ज़त-ए-कश्मकश-ए-शौक़ ने मरने न दिया

मुल्तफ़ित कल नज़र आती थीं निगाहें उन की
कहीं धोका तो मुझे मेरी नज़र ने न दिया

यूँ तो रहने को परेशानी-ए-ख़ातिर ही रही
तेरी ज़ुल्फ़ों को मगर मैं ने बिखरने न दिया

फूल तो फूल थे ऐ ख़ाना-बर-अंदाज़-ए-चमन
तू ने काँटों से भी दामन मुझे भरने न दिया

इन्हीं अल्फ़ाज़ में है मेरी कहानी 'अफ़ज़ल'
ग़म ने जीने न दिया शौक़ ने मरने न दिया

  - Ezaz Afzal

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Afzal

As you were reading Shayari by Ezaz Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Afzal

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari