saleeqa itna to ai shauq-e-khush-kalaam aaye
unhin ki baat ho lekin na un ka naam aaye
khird bhi gosh-bar-aawaaz-e-waqt thi lekin
payaam jitne bhi aaye junoon ke naam aaye
na chal saka koi meri nigaah-e-shauq ke saath
tumhaare jalwe bhi aaye to chand gaam aaye
na jaane husn-e-haqeeqat ki jalvaa-gaah se kyun
fasaane jitne bhi aaye vo na-tamaam aaye
kisi ne subh sanwaari kisi ne shaam apni
meri nazar ke ujaale sabhon ke kaam aaye
सलीक़ा इतना तो ऐ शौक़-ए-ख़ुश-कलाम आए
उन्हीं की बात हो लेकिन न उन का नाम आए
ख़िरद भी गोश-बर-आवाज़-ए-वक़्त थी लेकिन
पयाम जितने भी आए जुनूँ के नाम आए
न चल सका कोई मेरी निगाह-ए-शौक़ के साथ
तुम्हारे जल्वे भी आए तो चंद गाम आए
न जाने हुस्न-ए-हक़ीक़त की जल्वा-गाह से क्यूँ
फ़साने जितने भी आए वो ना-तमाम आए
किसी ने सुब्ह सँवारी किसी ने शाम अपनी
मिरी नज़र के उजाले सभों के काम आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Rahbar Shayari Shayari