ujaala kaisa ujaale ka khwaab la na sake
sehar se maang ke ham aftaab la na sake
ham apne chehra-e-be-daagh ke liye ai aql
tiri dukaan se koi naqaab la na sake
jo chaand par bhi gaye ham to khaak hi laaye
zameen ki nazr ko ik aftaab la na sake
gaye to the tire jalvo ko jaanchne lekin
bacha ke ham nazr-e-intikhaab la na sake
zameen ki baat zameen ki zabaan mein kehna thi
ham aasmaan se koi kitaab la na sake
उजाला कैसा उजाले का ख़्वाब ला न सके
सहर से माँग के हम आफ़्ताब ला न सके
हम अपने चेहरा-ए-बे-दाग़ के लिए ऐ अक़्ल
तिरी दुकान से कोई नक़ाब ला न सके
जो चाँद पर भी गए हम तो ख़ाक ही लाए
ज़मीं की नज़्र को इक आफ़्ताब ला न सके
गए तो थे तिरे जल्वों को जाँचने लेकिन
बचा के हम नज़र-ए-इंतिख़ाब ला न सके
ज़मीं की बात ज़मीं की ज़बाँ में कहना थी
हम आसमान से कोई किताब ला न सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Afzal
our suggestion based on Ezaz Afzal
As you were reading Fantasy Shayari Shayari