nigaah-e-baagbaan kuchh meherbaan ma'aloom hoti hai | निगाह-ए-बाग़बाँ कुछ मेहरबाँ मा'लूम होती है

  - Ezaz Afzal

nigaah-e-baagbaan kuchh meherbaan ma'aloom hoti hai
zameen par aaj shaakh-e-aashiyaan ma'aloom hoti hai

bulaaya ja raha hai jaanib-e-daar-o-rasan ham ko
muqaddar mein hayaat-e-jaavidaan ma'aloom hoti hai

nigaahon mein hain kis ke aariz-e-gul-rang ke jalwe
ki duniya gulistaan-dar-gulistaan ma'aloom hoti hai

meri kashti ko shikwa behr-e-be-paayaan ki tangi ka
tujhe ek aabjoo bhi be-karaan ma'aloom hoti hai

pahunch kar aasmaan par bhi to dekho ai zameen waalo
wahan se ye zameen bhi aasmaan ma'aloom hoti hai

निगाह-ए-बाग़बाँ कुछ मेहरबाँ मा'लूम होती है
ज़मीं पर आज शाख़-ए-आशियाँ मा'लूम होती है

बुलाया जा रहा है जानिब-ए-दार-ओ-रसन हम को
मुक़द्दर में हयात-ए-जाविदाँ मा'लूम होती है

निगाहों में हैं किस के आरिज़-ए-गुल-रंग के जल्वे
कि दुनिया गुलिस्ताँ-दर-गुलिस्ताँ मा'लूम होती है

मिरी कश्ती को शिकवा बहर-ए-बे-पायाँ की तंगी का
तुझे एक आबजू भी बे-कराँ मा'लूम होती है

पहुँच कर आसमाँ पर भी तो देखो ऐ ज़मीं वालो
वहाँ से ये ज़मीं भी आसमाँ मा'लूम होती है

  - Ezaz Afzal

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Afzal

As you were reading Shayari by Ezaz Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Afzal

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari