naddi naddi ran padte hain jab se naav utaari hai | नद्दी नद्दी रन पड़ते हैं जब से नाव उतारी है

  - Ezaz Afzal

naddi naddi ran padte hain jab se naav utaari hai
toofaanon ke kas-bal dekhe ab mallaah ki baari hai

neend ragon mein daud rahi hai por por bedaari hai
jism bahut hassaas hai lekin dil jazbaat se aari hai

aawazon ke paikar zakhmi lafzon ke but lahooluhaan
karte hain izhaar-e-tafannun kahte hain fankaari hai

manzil manzil paanv jama kar ham bhi chale the ham-safaro
ukhadi ukhadi chaal ka bais raah ki na-hamwaari hai

aankh thakan ne khuli hai ya azm-e-safar ne karvat li
par faila kar baithoge ya udne ki tayyaari hai

sach kahte ho neev mein is ki tedhi koi eent nahin
aadhi-tirchi chat ka bais ghar ki kaj-deewaari hai

kya kahiye kyun aaj saroon se zakhamon ka bojh uth na saka
patthar the lekin halke the phool hai lekin bhari hai

basti basti qaryaa qaryaa koson aangan hai na munder
zehan kharaabaa dil veeraana ghar aa'saab pe taari hai

ek diya aur itna raushan jaise dahakta suraj ho
kehne waale sach kahte hain raat bahut andhiyaari hai

नद्दी नद्दी रन पड़ते हैं जब से नाव उतारी है
तूफ़ानों के कस-बल देखे अब मल्लाह की बारी है

नींद रगों में दौड़ रही है पोर पोर बेदारी है
जिस्म बहुत हस्सास है लेकिन दिल जज़्बात से आरी है

आवाज़ों के पैकर ज़ख़्मी लफ़्ज़ों के बुत लहूलुहान
करते हैं इज़हार-ए-तफ़न्नुन कहते हैं फ़नकारी है

मंज़िल मंज़िल पाँव जमा कर हम भी चले थे हम-सफ़रो
उखड़ी उखड़ी चाल का बाइ'स राह की ना-हमवारी है

आँख थकन ने खोली है या अज़्म-ए-सफ़र ने करवट ली
पर फैला कर बैठोगे या उड़ने की तय्यारी है

सच कहते हो नीव में इस की टेढ़ी कोई ईंट नहीं
आड़ी-तिरछी छत का बाइ'स घर की कज-दीवारी है

क्या कहिए क्यूँ आज सरों से ज़ख़्मों का बोझ उठ न सका
पत्थर थे लेकिन हल्के थे फूल है लेकिन भारी है

बस्ती बस्ती क़र्या क़र्या कोसों आँगन है न मुंडेर
ज़ेहन ख़राबा दिल वीराना घर आ'साब पे तारी है

एक दिया और इतना रौशन जैसे दहकता सूरज हो
कहने वाले सच कहते हैं रात बहुत अँधियारी है

  - Ezaz Afzal

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Afzal

As you were reading Shayari by Ezaz Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Afzal

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari