laut aayega dekhna mere dost
jagmagayega raasta mere dost
hazrat-e-'daagh ke main saaye mein hoon
hazrat-e-'jaun-eliya mere dost
kuchh gunahgaar bhi hain yaar mere
aur hain chand paarsa mere dost
main tujhe chhod kar na jaata magar
aadhe aayi meri ana mere dost
main mera kamra meri vehshat tu
khaamoshi shor ik khala mere dost
kabhi fikr-e-ma'aash aur kabhi dil
dukh hain mere juda juda mere dost
yaar e'zaaz chal nikalte hain
maut ne mujh se kah diya mere dost
लौट आएगा देखना मिरे दोस्त
जगमगाएगा रास्ता मिरे दोस्त
हज़रत-ए-'दाग़' के मैं साए में हूँ
हज़रत-ए-'जौन-एलिया' मिरे दोस्त
कुछ गुनहगार भी हैं यार मिरे
और हैं चंद पारसा मिरे दोस्त
मैं तुझे छोड़ कर न जाता मगर
आड़े आई मिरी अना मिरे दोस्त
मैं मिरा कमरा मेरी वहशत तू
ख़ामुशी शोर इक ख़ला मिरे दोस्त
कभी फ़िक्र-ए-मआ'श और कभी दिल
दुख हैं मेरे जुदा जुदा मिरे दोस्त
यार 'ए'ज़ाज़' चल निकलते हैं
मौत ने मुझ से कह दिया मिरे दोस्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi
our suggestion based on Ezaz Kazmi
As you were reading Sad Shayari Shayari