tez hai mera qalam talwaar se | तेज़ है मेरा क़लम तलवार से

  - Ezaz Kazmi

tez hai mera qalam talwaar se
dost khaif hain meri raftaar se

jeb mein kuchh bhi nahin tha is liye
laut kar main aa gaya bazaar se

jholiyaan bhar bhar ke jaate hain sabhi
nausha-e-lajpaal ke darbaar se

phir rasai mein nahin rah paaya vo
chaand oopar ho gaya deewaar se

aap gusse mein rahein aur mere dost
loot kar sab le gaye hain pyaar se

ek dil toota hua hai ek main
aur kuchh jazbaat hain be-kaar se

thoda thoda khud se main khaif raha
thoda thoda ghaib ke asraar se

तेज़ है मेरा क़लम तलवार से
दोस्त ख़ाइफ़ हैं मिरी रफ़्तार से

जेब में कुछ भी नहीं था इस लिए
लौट कर मैं आ गया बाज़ार से

झोलियाँ भर भर के जाते हैं सभी
नौशा-ए-लजपाल के दरबार से

फिर रसाई में नहीं रह पाया वो
चाँद ऊपर हो गया दीवार से

आप ग़ुस्से में रहें और मेरे दोस्त
लूट कर सब ले गए हैं प्यार से

एक दिल टूटा हुआ है एक मैं
और कुछ जज़्बात हैं बे-कार से

थोड़ा थोड़ा ख़ुद से मैं ख़ाइफ़ रहा
थोड़ा थोड़ा ग़ैब के असरार से

  - Ezaz Kazmi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari