vo tark-e-ishq ka tha raasta chala gaya main | वो तर्क-ए-इश्क़ का था रास्ता चला गया मैं

  - Ezaz Kazmi

vo tark-e-ishq ka tha raasta chala gaya main
bila-irada hi jis par chala chala gaya main

vo shakhs yoonhi kahi raaste mein mil gaya tha
palak jhapak ke use dekhta chala gaya main

meri hayaat mein ik doosri mohabbat thi
use bhi aur koi mil gaya chala gaya main

khabar nahin ki yahan aur kaun hai maujood
pata karo ki yahin par hoon ya chala gaya main

phir us ke ba'ad kahaan tha mujhe nahin ma'aloom
faqeer-e-ishq se le kar dua chala gaya main

वो तर्क-ए-इश्क़ का था रास्ता चला गया मैं
बिला-इरादा ही जिस पर चला चला गया मैं

वो शख़्स यूँही कहीं रास्ते में मिल गया था
पलक झपक के उसे देखता चला गया मैं

मिरी हयात में इक दूसरी मोहब्बत थी
उसे भी और कोई मिल गया चला गया मैं

ख़बर नहीं कि यहाँ और कौन है मौजूद
पता करो कि यहीं पर हूँ या चला गया मैं

फिर उस के बा'द कहाँ था मुझे नहीं मा'लूम
फ़क़ीर-ए-इश्क़ से ले कर दुआ चला गया मैं

  - Ezaz Kazmi

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari