is dast-e-be-aman mein utarna mujhe bhi hai
paas is dil-e-hazeen ka to warna mujhe bhi hai
duniya haseen-tar hai magar ai mere khuda
bheja hai tu ne aur guzarna mujhe bhi hai
furqat mili to tark karunga ta'alluqaat
ye kaam ek baar to karna mujhe bhi hai
us ne bhi ek aan nazar aana hai zaroor
is bheed mein kahi se ubharna mujhe bhi hai
bas sochta yahi hoon main a'zaaz'-kaazmi
jitna bhi jee luun aakhirsh marna mujhe bhi hai
इस दश्त-ए-बे-अमाँ में उतरना मुझे भी है
पास इस दिल-ए-हज़ीं का तो वर्ना मुझे भी है
दुनिया हसीन-तर है मगर ऐ मिरे ख़ुदा
भेजा है तू ने और गुज़रना मुझे भी है
फ़ुर्सत मिली तो तर्क करूँगा तअ'ल्लुक़ात
ये काम एक बार तो करना मुझे भी है
उस ने भी एक आन नज़र आना है ज़रूर
इस भीड़ में कहीं से उभरना मुझे भी है
बस सोचता यही हूँ मैं 'ए'ज़ाज़'-काज़मी
जितना भी जी लूँ आख़िरश मरना मुझे भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi
our suggestion based on Ezaz Kazmi
As you were reading Protest Shayari Shayari