tire baghair nahin dekh jhaank kar koi | तिरे बग़ैर नहीं देख झाँक कर कोई

  - Ezaz Kazmi

tire baghair nahin dekh jhaank kar koi
ye dil vo dil tha ki jis ka nahin tha dar koi

bata de vahshaton ki fauj ko chali jaaye
bata de ja ke nahin yun bhi aaj ghar koi

main ja raha hoon fasiilo darakhto tasveero
so tum mein to nahin hai mera hum-safar koi

use kaho ki kisi ko tiri zaroorat hai
kaho ki jaagta rehta hai raat-bhar koi

ye dasht dasht nahin lag raha mujhe e'zaaz
ki main ne chhodi nahin us ki raahguzaar koi

तिरे बग़ैर नहीं देख झाँक कर कोई
ये दिल वो दिल था कि जिस का नहीं था दर कोई

बता दे वहशतों की फ़ौज को चली जाए
बता दे जा के नहीं यूँ भी आज घर कोई

मैं जा रहा हूँ फ़सीलो दरख़्तो तस्वीरो
सो तुम में तो नहीं है मेरा हम-सफ़र कोई

उसे कहो कि किसी को तिरी ज़रूरत है
कहो कि जागता रहता है रात-भर कोई

ये दश्त दश्त नहीं लग रहा मुझे 'ए'ज़ाज़'
कि मैं ने छोड़ी नहीं उस की रहगुज़र कोई

  - Ezaz Kazmi

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari