tire liye to mere paas bas dua hai yaar | तिरे लिए तो मिरे पास बस दुआ है यार

  - Ezaz Kazmi

tire liye to mere paas bas dua hai yaar
tu is zameen pe bahut ooncha ud raha hai yaar

ye khidkiyaan to mujhe aur kah rahi hain kuchh
samajh mere dil naadaan ye hua hai yaar

ye duniya-daar mujhe kis tarah se dekhte hain
ki ye bashar hai farishta hai devta hai yaar

agar ye shauq nahin hai to kya hai batla de
tu kis liye mujhe khidki se jhaankta hai yaar

tu jis ko dhundh raha hai tujhe milega nahin
vo shakhs mujh se kahi kab ka ja chuka hai yaar

ye teergi ki hain aankhen ki hijr ki lau hai
jo jal raha hai wahan saamne diya hai yaar

tu jaana chahta hai to tujhe ijaazat hai
magar pata to chale main ne kya kaha hai yaar

तिरे लिए तो मिरे पास बस दुआ है यार
तू इस ज़मीं पे बहुत ऊँचा उड़ रहा है यार

ये खिड़कियाँ तो मुझे और कह रही हैं कुछ
समझ मिरे दिल नादान ये हुआ है यार

ये दुनिया-दार मुझे किस तरह से देखते हैं
कि ये बशर है फ़रिश्ता है देवता है यार

अगर ये शौक़ नहीं है तो क्या है बतला दे
तू किस लिए मुझे खिड़की से झाँकता है यार

तू जिस को ढूँड रहा है तुझे मिलेगा नहीं
वो शख़्स मुझ से कहीं कब का जा चुका है यार

ये तीरगी की हैं आँखें कि हिज्र की लौ है
जो जल रहा है वहाँ सामने दिया है यार

तू जाना चाहता है तो तुझे इजाज़त है
मगर पता तो चले मैं ने क्या कहा है यार

  - Ezaz Kazmi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari