tujh se mahv-e-guftugu hona pada | तुझ से महव-ए-गुफ़्तुगू होना पड़ा

  - Ezaz Kazmi

tujh se mahv-e-guftugu hona pada
main se hijrat kar ke tu hona pada

main abhi jee-bhar ke jee paaya na tha
maut tere roo-b-roo hona pada

main pareshaani mein ghirta tha kabhi
aur hairaan bhi kabhu hona pada

meri hasrat thi kabhi tu maah-vash
mujh ko teri aarzoo hona pada

saamne lashkar tha jo vo haq pe tha
haq pe mujh ko ai adoo hona pada

tujh se milta-julta hona chaaha tha
ho gaya to hoo-b-hoo hona pada

तुझ से महव-ए-गुफ़्तुगू होना पड़ा
मैं से हिजरत कर के तू होना पड़ा

मैं अभी जी-भर के जी पाया न था
मौत तेरे रू-ब-रू होना पड़ा

मैं परेशानी में घिरता था कभी
और हैराँ भी कभू होना पड़ा

मेरी हसरत थी कभी तू माह-वश
मुझ को तेरी आरज़ू होना पड़ा

सामने लश्कर था जो वो हक़ पे था
हक़ पे मुझ को ऐ अदू होना पड़ा

तुझ से मिलता-जुलता होना चाहा था
हो गया तो हू-ब-हू होना पड़ा

  - Ezaz Kazmi

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari