musalsal ik mashqat be-sabab hai | मुसलसल इक मशक़्क़त बे-सबब है

  - Ezaz Kazmi

musalsal ik mashqat be-sabab hai
mohabbat bhi bahut mehnat-talab hai

tumhaara gham hai rishta-daar mera
tumhaari yaad hi mera nasab hai

tum aa jaate to achha tha magar ab
mere dil mein yahi ik aas kab hai

yoonhi aate nahin ahvaal takne
vo aaye hain to phir koi sabab hai

mere daalaan mein ganjeena-e-yaad
muravvat aashti uftaad sab hai

main raushan hoon tire partav ke bais
mere chehre pe teri taab-o-tab hai

qayamat ki ghadi guzri hai aur tu
abhi maujood-o-zinda hai ajab hai

मुसलसल इक मशक़्क़त बे-सबब है
मोहब्बत भी बहुत मेहनत-तलब है

तुम्हारा ग़म है रिश्ता-दार मेरा
तुम्हारी याद ही मेरा नसब है

तुम आ जाते तो अच्छा था मगर अब
मिरे दिल में यही इक आस कब है

यूँही आते नहीं अहवाल तकने
वो आए हैं तो फिर कोई सबब है

मिरे दालान में गंजीना-ए-याद
मुरव्वत आश्ती उफ़्ताद सब है

मैं रौशन हूँ तिरे परतव के बाइ'स
मिरे चेहरे पे तेरी ताब-ओ-तब है

क़यामत की घड़ी गुज़री है और तू
अभी मौजूद-ओ-ज़िंदा है अजब है

  - Ezaz Kazmi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari