tire baghair lag raha hai ye safar khamosh hai | तिरे बग़ैर लग रहा है ये सफ़र ख़मोश है

  - Ezaz Kazmi

tire baghair lag raha hai ye safar khamosh hai
hawa thami hui hai aur raahguzaar khamosh hai

hain apni apni ja pe dono muztarib ki kya karein
tiri nigaah mein shor hai meri nazar khamosh hai

tiri sadaaein aa nahin rahi hain is sukoot mein
ki hont hil rahe hain tere tu magar khamosh hai

pukaarta hoon apne-aap ko ki mar na jaaun main
magar pukaar par meri tarah nagar khamosh hai

koi to gung rah gaya kisi ko saanp das gaya
ki baam chup hai dar khula pada hai ghar khamosh hai

तिरे बग़ैर लग रहा है ये सफ़र ख़मोश है
हवा थमी हुई है और रहगुज़र ख़मोश है

हैं अपनी अपनी जा पे दोनों मुज़्तरिब कि क्या करें
तिरी निगह में शोर है मिरी नज़र ख़मोश है

तिरी सदाएँ आ नहीं रही हैं इस सुकूत में
कि होंट हिल रहे हैं तेरे तू मगर ख़मोश है

पुकारता हूँ अपने-आप को कि मर न जाऊँ मैं
मगर पुकार पर मिरी तरह नगर ख़मोश है

कोई तो गुंग रह गया किसी को साँप डस गया
कि बाम चुप है दर खुला पड़ा है घर ख़मोश है

  - Ezaz Kazmi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Kazmi

As you were reading Shayari by Ezaz Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Kazmi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari