raaste mein shaam ho gai qissa tamaam ho chuka | रस्ते में शाम हो गई क़िस्सा तमाम हो चुका

  - Faheem Shanas Kazmi

raaste mein shaam ho gai qissa tamaam ho chuka
jo kuchh bhi tha ai zindagi vo tere naam ho chuka

kab ki guzar gai vo shab jis mein kisi ka noor tha
kab ki gali mein dhoop hai jeena haraam ho chuka

firte rahein nagar nagar koocha-b-koocha dar-b-dar
apne khayaam jal chuke apna salaam ho chuka

raat mein baaki kuchh nahin neend mein baaki kuchh nahin
apna har ek khwaab to nazr-e-awaam ho chuka

us ke labon ki guftugoo karte rahe suboo suboo
yaani sukhun hue tamaam yaani kalaam ho chuka

ishq gar aisa ishq hai aankhon se bahne do lahu
zeest gar aisi zeest hai apna to kaam ho chuka

raaste tamaam ho gaye us ki gali ke aas-paas
yaani khiraam ho chuka yaani qayaam ho chuka

रस्ते में शाम हो गई क़िस्सा तमाम हो चुका
जो कुछ भी था ऐ ज़िंदगी वो तेरे नाम हो चुका

कब की गुज़र गई वो शब जिस में किसी का नूर था
कब की गली में धूप है जीना हराम हो चुका

फिरते रहें नगर नगर कूचा-ब-कूचा दर-ब-दर
अपने ख़ियाम जल चुके अपना सलाम हो चुका

रात में बाक़ी कुछ नहीं नींद में बाक़ी कुछ नहीं
अपना हर एक ख़्वाब तो नज़्र-ए-अवाम हो चुका

उस के लबों की गुफ़्तुगू करते रहे सुबू सुबू
यानी सुख़न हुए तमाम यानी कलाम हो चुका

इश्क़ गर ऐसा इश्क़ है आँखों से बहने दो लहू
ज़ीस्त गर ऐसी ज़ीस्त है अपना तो काम हो चुका

रस्ते तमाम हो गए उस की गली के आस-पास
यानी ख़िराम हो चुका यानी क़याम हो चुका

  - Faheem Shanas Kazmi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Shanas Kazmi

As you were reading Shayari by Faheem Shanas Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Shanas Kazmi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari