khushi
adam ke kisi jharoke
ki ot se jhaankti nazar ka fareb koi
taveel be-rehm raaston par saraab koi
tamaam shab jugnuon ko chunne ka khwaab koi
khushi
vo rah rah ke chand lamhon ko saans leta habaab koi
udaas taaron ko chhedti ungliyon ke zakhamon
se uthte sar ke khayal mein gum rabaab koi
khushi
ki mizaan ke jazeeron se door ik be-nishaan saahil
zamaane bhar ki khaleej haa'il
ubharti maujon mein
ghark hone ki dastaanon ki jhilmilahat
jo choona chaaho
to dastaras mein
koi jazeera na koi saahil
ye khaak aur aab ka tawazun
ye band mutthi se zarra zarra fislati mitti
nazar mein collage ik mujarrad
idhar gumaan ki munder par kuchh nishaan
anqa ke baithne ka fareb jaise
tu us kinaare taraazu thaame
mujassame ki safed aankhon pe ma'anaviyyat ki kaali patti
wahi siyaahi
andhere ka hai jo pesh-khema
vo sang aankhen
ki jin mein putli kabhi nahin thi
vo jin ki tah mein
kisi kiran ka guzar nahin hai
khushi hai kya munsifi hai kya
kuchh khabar nahin hai
ख़ुशी
अदम के किसी झरोके
की ओट से झाँकती नज़र का फ़रेब कोई
तवील बे-रहम रास्तों पर सराब कोई
तमाम शब जुगनुओं को चुनने का ख़्वाब कोई
ख़ुशी
वो रह रह के चंद लम्हों को साँस लेता हबाब कोई
उदास तारों को छेड़ती उँगलियों के ज़ख़्मों
से उठते सर के ख़याल में गुम रबाब कोई
ख़ुशी
कि मीज़ान के जज़ीरों से दूर इक बे-निशान साहिल
ज़माने भर की ख़लीज हाइल
उभरती मौजों में
ग़र्क़ होने की दास्तानों की झिलमिलाहट
जो छूना चाहो
तो दस्तरस में
कोई जज़ीरा न कोई साहिल
ये ख़ाक और आब का तवाज़ुन
ये बंद मुट्ठी से ज़र्रा ज़र्रा फिसलती मिट्टी
नज़र में कोलाज़ इक मुजर्रद
इधर गुमाँ की मुंडेर पर कुछ निशान
अन्क़ा के बैठने का फ़रेब जैसे
तू उस किनारे तराज़ू थामे
मुजस्समे की सफ़ेद आँखों पे मा'नविय्यत की काली पट्टी
वही सियाही
अँधेरे का है जो पेश-ख़ेमा
वो संग आँखें
कि जिन में पुतली कभी नहीं थी
वो जिन की तह में
किसी किरन का गुज़र नहीं है
ख़ुशी है क्या मुंसिफ़ी है क्या
कुछ ख़बर नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Azeem
our suggestion based on Faisal Azeem
As you were reading Khafa Shayari Shayari