ik roz apne aap ko main ne | इक रोज़ अपने आप को मैं ने

  - Faisal Azeem

ik roz apne aap ko main ne
khala ki vusa'ton se jhaank kar dekha
to vehshat mein palat aaya
kahi par door ik nuqta sa raushan tha
aur us nuqte mein ik zarra nazar aaya
zameen kahiye zamaan kahiye ki apna aasmaan kahiye
sabhi kuchh is mein gum paaya
wahi zarra
ki jis ki vusa'ton ko baant kar ham ne
kai khitte bana dale
aur un khittoon mein ham ne sarhadein bhi khoob kheenchi hain
so ik sarhad ke andar bhi kai tukde nazar aaye
ki jin tukdon ke tukdon mein kahi ik shehar basta hai
ki jis ke ek tukde mein puraana ik mohalla hai
so us ke ek hisse mein koi chhota sa ghar hoga
aur us ghar ke kisi kamre ke kone mein
koi apni haqeeqat likh raha hoga

इक रोज़ अपने आप को मैं ने
ख़ला की वुसअ'तों से झाँक कर देखा
तो वहशत में पलट आया
कहीं पर दूर इक नुक़्ता सा रौशन था
और उस नुक़्ते में इक ज़र्रा नज़र आया
ज़मीं कहिए ज़माँ कहिए कि अपना आसमाँ कहिए
सभी कुछ इस में गुम पाया
वही ज़र्रा
कि जिस की वुसअ'तों को बाँट कर हम ने
कई ख़ित्ते बना डाले
और उन ख़ित्तों में हम ने सरहदें भी ख़ूब खींची हैं
सो इक सरहद के अंदर भी कई टुकड़े नज़र आए
कि जिन टुकड़ों के टुकड़ों में कहीं इक शहर बस्ता है
कि जिस के एक टुकड़े में पुराना इक मोहल्ला है
सो उस के एक हिस्से में कोई छोटा सा घर होगा
और उस घर के किसी कमरे के कोने में
कोई अपनी हक़ीक़त लिख रहा होगा

  - Faisal Azeem

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Azeem

As you were reading Shayari by Faisal Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Azeem

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari