dekhte dekhte sab dhund mein tahleel hue
dasht kohsaar falak aab nabaatat sabhi
buildingein choti-badi door talak phaile ghar
ikka-dukka jo kahi log nazar aate the
vo bhi mashghool the
be-rooh si sar-garmi mein
har koi nauha-kunaan tha ki puraani sadiyaan
boodhi tahzeeb ko dafna ke abhi lauti hain
aur ab dhoondhti hain
an-dekhe khandar ko shaayad
kaisa gambheer safar khatm hua aakhir-e-kaar
kaisi uftaad padi ahl-e-zameen aaj ke din
ham ki aaghaaz the anjaam ki tamsil hue
dekhte dekhte ham dhund mein tahleel hue
देखते देखते सब धुँद में तहलील हुए
दश्त कोहसार फ़लक आब नबातात सभी
बिल्डिंगें छोटी-बड़ी दूर तलक फैले घर
इक्का-दुक्का जो कहीं लोग नज़र आते थे
वो भी मशग़ूल थे
बे-रूह सी सर-गर्मी में
हर कोई नौहा-कुनाँ था कि पुरानी सदियाँ
बूढ़ी तहज़ीब को दफ़ना के अभी लौटी हैं
और अब ढूँढती हैं
अन-देखे खंडर को शायद
कैसा गम्भीर सफ़र ख़त्म हुआ आख़िर-ए-कार
कैसी उफ़्ताद पड़ी अहल-ए-ज़मीं आज के दिन
हम कि आग़ाज़ थे अंजाम की तमसील हुए
देखते देखते हम धुँद में तहलील हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Hashmi
our suggestion based on Faisal Hashmi
As you were reading Anjam Shayari Shayari