log kahte hain bahut ham ne kamaai duniya
aaj tak meri samajh mein nahin aayi duniya
jab nazar naama-e-aamaal ke daftar pe padi
nekiyon par mujhe ubhri nazar aayi duniya
zaahiri aankhon se dekho to dikhaai de pahaad
baatini aankhon se dekho to hai raai duniya
ye qadam tere ta'aqub mein chale hain kitna
ye bataayegi meri aablaa-paai duniya
jitne dukh-dard tahaif mein diye hai tu ne
le ke aayegi azal sab ki davaai duniya
faiz jo phirti hai khud khaana-b-doshon ki tarah
kya karegi vo meri raah-numaai duniya
लोग कहते हैं बहुत हम ने कमाई दुनिया
आज तक मेरी समझ में नहीं आई दुनिया
जब नज़र नामा-ए-आमाल के दफ़्तर पे पड़ी
नेकियों पर मुझे उभरी नज़र आई दुनिया
ज़ाहिरी आँखों से देखो तो दिखाई दे पहाड़
बातिनी आँखों से देखो तो है राई दुनिया
ये क़दम तेरे तआ'क़ुब में चले हैं कितना
ये बताएगी मिरी आबला-पाई दुनिया
जितने दुख-दर्द तहाइफ़ में दिए है तू ने
ले के आएगी अज़ल सब की दवाई दुनिया
'फ़ैज़' जो फिरती है ख़ुद ख़ाना-ब-दोशों की तरह
क्या करेगी वो मेरी राह-नुमाई दुनिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Khalilabadi
our suggestion based on Faiz Khalilabadi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari