le ke is ghaat se us ghaat gai mera vujood
fikr deemak ki tarah chaat gai mera vujood
meri barbaadi mein ik shaakh bhi shaamil thi meri
khud kulhaadi to nahin kaat gai mera vujood
apne mea'ar ka bhi daam na mil paaya mujhe
zindagi le ke kai haat gai mera vujood
main sikandar tha magar aakhiri manzil ki taraf
le ke ik tooti hui khaat gai mera vujood
faiz jis mitti ne tarteeb diya tha mujh ko
ek din mitti wahi paat gai mera vujood
ले के इस घाट से उस घाट गई मेरा वजूद
फ़िक्र दीमक की तरह चाट गई मेरा वजूद
मेरी बर्बादी में इक शाख़ भी शामिल थी मिरी
ख़ुद कुल्हाड़ी तो नहीं काट गई मेरा वजूद
अपने मेआ'र का भी दाम न मिल पाया मुझे
ज़िंदगी ले के कई हाट गई मेरा वजूद
मैं सिकंदर था मगर आख़िरी मंज़िल की तरफ़
ले के इक टूटी हुई खाट गई मेरा वजूद
'फ़ैज़' जिस मिट्टी ने तरतीब दिया था मुझ को
एक दिन मिट्टी वही पाट गई मेरा वजूद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Khalilabadi
our suggestion based on Faiz Khalilabadi
As you were reading Life Shayari Shayari