din utarte hi nayi shaam pahan leta hoon
main tiri yaadon ka ehraam pahan leta hoon
mere ghar waale bhi takleef mein aa jaate hain
main jo kuchh der ko aaraam pahan leta hoon
raat ko odh ke so jaata hoon din-bhar ki thakan
subh ko phir se kai kaam pahan leta hoon
jab bhi pardes mein yaad aata hai ghar ka naqsha
main tasavvur mein dar-o-baam pahan leta hoon
ek chaandi ki angoothi ke hawaale se faqat
apni ungli mein tira naam pahan leta hoon
faiz yun rakhta hoon main us ki mohabbat ka bharam
us ke hisse ke bhi ilzaam pahan leta hoon
दिन उतरते ही नई शाम पहन लेता हूँ
मैं तिरी यादों का एहराम पहन लेता हूँ
मेरे घर वाले भी तकलीफ़ में आ जाते हैं
मैं जो कुछ देर को आराम पहन लेता हूँ
रात को ओढ़ के सो जाता हूँ दिन-भर की थकन
सुब्ह को फिर से कई काम पहन लेता हूँ
जब भी परदेस में याद आता है घर का नक़्शा
मैं तसव्वुर में दर-ओ-बाम पहन लेता हूँ
एक चाँदी की अँगूठी के हवाले से फ़क़त
अपनी उँगली में तिरा नाम पहन लेता हूँ
'फ़ैज़' यूँ रखता हूँ मैं उस की मोहब्बत का भरम
उस के हिस्से के भी इल्ज़ाम पहन लेता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Khalilabadi
our suggestion based on Faiz Khalilabadi
As you were reading I love you Shayari Shayari