laga ki jaise kisi kaanpate hiran ko chhua
hamaare haathon ne jab phool se badan ko chhua
tamaam jism mein aasoodagi si phail gai
tire dehan ne kabhi jab mere dehan ko chhua
simat ke aa gai kaaghaz pe soorat-e-ashaar
hamaari fikr ne jab bhi kisi ghutan ko chhua
kai maqaam pe dono mile zaroor magar
kishan ne radha ko radha ne kab kishan ko chhua
lipt ke pahuncha main jab nekiyon ki khushboo mein
lahd ki mitti ne darte hue kafan ko chhua
kabhi na ho saki izhaar-e-ishq ki jurat
ye aur baat kai sooraton ne man ko chhua
ham apni jaan bhi kar denge faiz us pe nisaar
agar kisi ne kabhi azmat-e-watan ko chhua
लगा कि जैसे किसी काँपते हिरन को छुआ
हमारे हाथों ने जब फूल से बदन को छुआ
तमाम जिस्म में आसूदगी सी फैल गई
तिरे दहन ने कभी जब मिरे दहन को छुआ
सिमट के आ गई काग़ज़ पे सूरत-ए-अशआर
हमारी फ़िक्र ने जब भी किसी घुटन को छुआ
कई मक़ाम पे दोनों मिले ज़रूर मगर
किशन ने राधा को राधा ने कब किशन को छुआ
लिपट के पहुँचा मैं जब नेकियों की ख़ुशबू में
लहद की मिट्टी ने डरते हुए कफ़न को छुआ
कभी न हो सकी इज़हार-ए-इश्क़ की जुरअत
ये और बात कई सूरतों ने मन को छुआ
हम अपनी जान भी कर देंगे 'फ़ैज़' उस पे निसार
अगर किसी ने कभी अज़मत-ए-वतन को छुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Khalilabadi
our suggestion based on Faiz Khalilabadi
As you were reading Rose Shayari Shayari