yun pahunchana hai mujhe rooh ki tughyaani tak | यूँ पहुँचना है मुझे रूह की तुग़्यानी तक

  - Faiz Khalilabadi

yun pahunchana hai mujhe rooh ki tughyaani tak
jis tarah rassi se jaata hai ghada paani tak

kaatni padti hai nakhun se takan ki zanjeer
yun hi aati nahin mushkil koi aasaani tak

zindagi tujh se banaaye hue rishte ki havas
mujh ko le aayi hai duniya ki pareshaani tak

aise jarraahon ka qabza hai sukhun par afsos
kar nahin sakte jo lafzon ki musalmaani tak

apne andar main kiya karta hoon raja ki talash
is vaseele se pahunchana hai mujhe raani tak

aise lafzon ko bhi be-aib banaya ham ne
jin ki jaayez hi nahin hoti thi qurbaani tak

husn ka paanv dabaati hai jahaan shokh hawa
ishq le aaya hai mujh ko isee veeraani tak

faiz ham log hain ik aisi kachehri ke wakeel
faujdaari se pahunchte hain jo deewani tak

यूँ पहुँचना है मुझे रूह की तुग़्यानी तक
जिस तरह रस्सी से जाता है घड़ा पानी तक

काटनी पड़ती है नाख़ुन से तकन की ज़ंजीर
यूँ ही आती नहीं मुश्किल कोई आसानी तक

ज़िंदगी तुझ से बनाए हुए रिश्ते की हवस
मुझ को ले आई है दुनिया की परेशानी तक

ऐसे जर्राहों का क़ब्ज़ा है सुख़न पर अफ़्सोस
कर नहीं सकते जो लफ़्ज़ों की मुसलमानी तक

अपने अंदर मैं किया करता हूँ राजा की तलाश
इस वसीले से पहुँचना है मुझे रानी तक

ऐसे लफ़्ज़ों को भी बे-ऐब बनाया हम ने
जिन की जाएज़ ही नहीं होती थी क़ुर्बानी तक

हुस्न का पाँव दबाती है जहाँ शोख़ हवा
इश्क़ ले आया है मुझ को इसी वीरानी तक

'फ़ैज़' हम लोग हैं इक ऐसी कचेहरी के वकील
फ़ौजदारी से पहुँचते हैं जो दीवानी तक

  - Faiz Khalilabadi

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Khalilabadi

As you were reading Shayari by Faiz Khalilabadi

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Khalilabadi

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari