tumhaare liye muskuraati sehar hai | तुम्हारे लिए मुस्कुराती सहर है

  - Fawad Ahmad

tumhaare liye muskuraati sehar hai
hamaare liye raat ka ye nagar hai

akela yahan baith kar kya karenge
bulaaya hai jis ne hamein vo kidhar hai

pareshaan hoon kis kis ka surma banaaun
yahan to har ik ki usi par nazar hai

ujaala hain rukhsaar jaadu hain aankhen
b-zaahir vo sab ki tarah ik bashar hai

vo jis ne hamesha hamein dukh diye hain
tamasha to ye hai wahi chaaragar hai

nikal kar wahan se kahi dil na thehra
bichaara abhi tak yahan dar-b-dar hai

kisi din ye patthar bhi baatein karega
mohabbat ki nazaron mein itna asar hai

jo palkon se gir jaaye aansu ka qatra
jo palkon mein rah jaayega vo guhar hai

vo zillat vo khaari bhi us ke sabab thi
mohabbat ka sehraa bhi us dil ke sar hai

koi aa raha hai koi ja raha hai
samjhte hain duniya ko khaala ka ghar hai

na koi payaam us ki jaanib se aaya
na milta kahi ab mera nama-bar hai

तुम्हारे लिए मुस्कुराती सहर है
हमारे लिए रात का ये नगर है

अकेले यहाँ बैठ कर क्या करेंगे
बुलाया है जिस ने हमें वो किधर है

परेशाँ हूँ किस किस का सुर्मा बनाऊँ
यहाँ तो हर इक की उसी पर नज़र है

उजाला हैं रुख़्सार जादू हैं आँखें
ब-ज़ाहिर वो सब की तरह इक बशर है

वो जिस ने हमेशा हमें दुख दिए हैं
तमाशा तो ये है वही चारागर है

निकल कर वहाँ से कहीं दिल न ठहरा
बिचारा अभी तक यहाँ दर-ब-दर है

किसी दिन ये पत्थर भी बातें करेगा
मोहब्बत की नज़रों में इतना असर है

जो पलकों से गिर जाए आँसू का क़तरा
जो पलकों में रह जाएगा वो गुहर है

वो ज़िल्लत वो ख़्वारी भी उस के सबब थी
मोहब्बत का सेहरा भी उस दिल के सर है

कोई आ रहा है कोई जा रहा है
समझते हैं दुनिया को ख़ाला का घर है

न कोई पयाम उस की जानिब से आया
न मिलता कहीं अब मिरा नामा-बर है

  - Fawad Ahmad

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fawad Ahmad

As you were reading Shayari by Fawad Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fawad Ahmad

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari