us ki gali mein zarf se badh kar mila mujhe | उस की गली में ज़र्फ़ से बढ़ कर मिला मुझे - Fawad Ahmad

us ki gali mein zarf se badh kar mila mujhe
ik pyaala justuju thi samundar mila mujhe

main chal pada tha aur kisi shaahraah par
khanjar-b-dast yaadon ka lashkar mila mujhe

dariya-e-shab se paar utarna muhaal tha
toota hua safeena-e-khawar mila mujhe

taaron mein us ka aks hai phoolon mein us ka rang
main jis taraf gaya mera dilbar mila mujhe

har zarra ba-kamaal hai har patta be-misaal
duniya mein khud se koi na kam-tar mila mujhe

kab se bhatk raha hoon main is dasht mein magar
khud se kabhi mila na tira dar mila mujhe

hota nahin hai tujh pe kisi baat ka asar
lagta hai tere roop mein patthar mila mujhe

be-kaif kat rahi thi musalsal ye zindagi
phir khwaab mein vo khwaab sa paikar mila mujhe

is baat par karunga main din raat ehtijaaj
kis jurm mein ye khaak ka bistar mila mujhe

mujh ko nahin rahi kabhi manzar ki justuju
ghar ke qareeb koo-e-sitamgar mila mujhe

jab tak raha main khud mein bhatkata raha yahan
jab khud ko kho diya to tira dar mila mujhe

mitti mein dhundhta hua kuch boodha aasmaan
main jis taraf gaya yahi manzar mila mujhe

karte hain log husn se yaa na-rava sulook
rote hue hamesha gul-e-tar mila mujhe

उस की गली में ज़र्फ़ से बढ़ कर मिला मुझे
इक प्याला जुस्तुजू थी समुंदर मिला मुझे

मैं चल पड़ा था और किसी शाहराह पर
ख़ंजर-ब-दस्त यादों का लश्कर मिला मुझे

दरिया-ए-शब से पार उतरना मुहाल था
टूटा हुआ सफ़ीना-ए-ख़ावर मिला मुझे

तारों में उस का अक्स है फूलों में उस का रंग
मैं जिस तरफ़ गया मिरा दिलबर मिला मुझे

हर ज़र्रा बा-कमाल है हर पत्ता बे-मिसाल
दुनिया में ख़ुद से कोई न कम-तर मिला मुझे

कब से भटक रहा हूँ मैं इस दश्त में मगर
ख़ुद से कभी मिला न तिरा दर मिला मुझे

होता नहीं है तुझ पे किसी बात का असर
लगता है तेरे रूप में पत्थर मिला मुझे

बे-कैफ़ कट रही थी मुसलसल ये ज़िंदगी
फिर ख़्वाब में वो ख़्वाब सा पैकर मिला मुझे

इस बात पर करूँगा मैं दिन रात एहतिजाज
किस जुर्म में ये ख़ाक का बिस्तर मिला मुझे

मुझ को नहीं रही कभी मंज़र की जुस्तुजू
घर के क़रीब कू-ए-सितमगर मिला मुझे

जब तक रहा मैं ख़ुद में भटकता रहा यहाँ
जब ख़ुद को खो दिया तो तिरा दर मिला मुझे

मिट्टी में ढूँडता हुआ कुछ बूढ़ा आसमाँ
मैं जिस तरफ़ गया यही मंज़र मिला मुझे

करते हैं लोग हुस्न से याँ ना-रवा सुलूक
रोते हुए हमेशा गुल-ए-तर मिला मुझे

- Fawad Ahmad
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fawad Ahmad

As you were reading Shayari by Fawad Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fawad Ahmad

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari