un nigaahon ko ham-aawaz kiya hai main ne | उन निगाहों को हम-आवाज़ किया है मैं ने

  - Fawad Ahmad

un nigaahon ko ham-aawaz kiya hai main ne
tab kahi geet ka aaghaaz kiya hai main ne

khatm ho ta-ki sitaaron ki ijara-daari
khaak ko maail-e-parvaaz kiya hai main ne

aap ko ik nayi khiffat se bachaane ke liye
chaandni ko nazar-andaaz kiya hai main ne

aasmaanon ki taraf aur nahin dekhoonga
ik naye daur ka aaghaaz kiya hai main ne

roothe logon ko manaane mein maza aata hai
jaan kar aap ko naaraz kiya hai main ne

tum mujhe chhod ke is tarah nahin ja sakte
is taalluq pe bahut naaz kiya hai main ne

vo jo sadiyon se yahan band pada tha dekho
shaayri ka wahi dar baaz kiya hai main ne

sun ke mabahoot hui jaati hai duniya saari
sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne

ishq mein naam kamaana koi aasaan na tha
saare ahbaab ko naaraz kiya hai main ne

sirf logon ko bataane se tasalli na hui
chaand taaron ko bhi hamraaz kiya hai main ne

aur bhi honge kai chaahne waale lekin
aap ke naam ko mumtaaz kiya hai main ne

aasmaanon se pare karta hai ab ja ke shikaar
taair-e-dil ko vo shahbaaz kiya hai main ne

shaairon se jo tire baad kabhi ho na saka
kaam vo hafiz-e-sheeraaz kiya hai main ne

उन निगाहों को हम-आवाज़ किया है मैं ने
तब कहीं गीत का आग़ाज़ किया है मैं ने

ख़त्म हो ता-कि सितारों की इजारा-दारी
ख़ाक को माइल-ए-परवाज़ किया है मैं ने

आप को इक नई ख़िफ़्फ़त से बचाने के लिए
चाँदनी को नज़र-अंदाज़ किया है मैं ने

आसमानों की तरफ़ और नहीं देखूँगा
इक नए दौर का आग़ाज़ किया है मैं ने

रूठे लोगों को मनाने में मज़ा आता है
जान कर आप को नाराज़ किया है मैं ने

तुम मुझे छोड़ के इस तरह नहीं जा सकते
इस तअल्लुक़ पे बहुत नाज़ किया है मैं ने

वो जो सदियों से यहाँ बंद पड़ा था देखो
शाइरी का वही दर बाज़ किया है मैं ने

सुन के मबहूत हुई जाती है दुनिया सारी
शेर लिक्खे हैं कि एजाज़ किया है मैं ने

इश्क़ में नाम कमाना कोई आसान न था
सारे अहबाब को नाराज़ किया है मैं ने

सिर्फ़ लोगों को बताने से तसल्ली न हुई
चाँद तारों को भी हमराज़ किया है मैं ने

और भी होंगे कई चाहने वाले लेकिन
आप के नाम को मुम्ताज़ किया है मैं ने

आसमानों से परे करता है अब जा के शिकार
ताइर-ए-दिल को वो शहबाज़ किया है मैं ने

शाइरों से जो तिरे बाद कभी हो न सका
काम वो हाफ़िज़-ए-शीराज़ किया है मैं ने

  - Fawad Ahmad

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fawad Ahmad

As you were reading Shayari by Fawad Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Fawad Ahmad

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari