saamne aankhon ke ghar ka ghar bane aur toot jaaye | सामने आँखों के घर का घर बने और टूट जाए

  - Ganesh Bihari Tarz

saamne aankhon ke ghar ka ghar bane aur toot jaaye
kya kare vo jis ka dil patthar bane aur toot jaaye

haaye re un ke fareb-e-waada-e-farda ka jaal
dekhte hi dekhte ik dar bane aur toot jaaye

haadson ki thokron se choor hona hai to phir
kyun na khaamoshi se dil saaghar bane aur toot jaaye

ham bhi le len lutf-e-teer-e-neem-kash gar vo nazar
aate aate qalb tak khanjar bane aur toot jaaye

un ke daaman ki hawa bhi kis ko hoti hai naseeb
aaj har aansu mera gauhar bane aur toot jaaye

yun bikharta hi raha ai tarz har sapna mera
subh jaise khwaab ka manzar bane aur toot jaaye

सामने आँखों के घर का घर बने और टूट जाए
क्या करे वो जिस का दिल पत्थर बने और टूट जाए

हाए रे उन के फ़रेब-ए-वादा-ए-फ़र्दा का जाल
देखते ही देखते इक दर बने और टूट जाए

हादसों की ठोकरों से चूर होना है तो फिर
क्यूँ न ख़ामोशी से दिल साग़र बने और टूट जाए

हम भी ले लें लुत्फ़-ए-तीर-ए-नीम-कश गर वो नज़र
आते आते क़ल्ब तक ख़ंजर बने और टूट जाए

उन के दामन की हवा भी किस को होती है नसीब
आज हर आँसू मिरा गौहर बने और टूट जाए

यूँ बिखरता ही रहा ऐ 'तर्ज़' हर सपना मिरा
सुब्ह जैसे ख़्वाब का मंज़र बने और टूट जाए

  - Ganesh Bihari Tarz

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh Bihari Tarz

As you were reading Shayari by Ganesh Bihari Tarz

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh Bihari Tarz

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari