rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi | रह-ए-इश्क़ में ग़म-ए-ज़िंदगी की भी ज़िंदगी सफ़री रही

  - Ganesh Bihari Tarz

rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi
kabhi nazr-e-khaak-e-safar rahi kabhi motiyon se bhari rahi

tiri ik nigaah se saaqiya vo bahaar-e-be-khabari rahi
gul-e-tar wahi gul-e-tar raha wahi daal daal hari rahi

tiri be-rukhi ki nigaah thi ki jo har khata se bari rahi
meri aarzoo ki sharaab thi ki jo jaam jaam bhari rahi

dam-e-marg bhi meri hasratein had-e-aarzoo se na badh sakeen
usi kaale dev ki qaid mein mere bachpane ki pari rahi

dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai vo haadsa ki mere liye
na to gham raha na khushi rahi na junoon raha na pari rahi

wahi tarz tujh pe raheem hai ye usi ka faiz-e-kareem hai
ki asaatiza ke bhi rang mein jo ghazal kahi vo kharee rahi

रह-ए-इश्क़ में ग़म-ए-ज़िंदगी की भी ज़िंदगी सफ़री रही
कभी नज़्र-ए-ख़ाक-ए-सफ़र रही कभी मोतियों से भरी रही

तिरी इक निगाह से साक़िया वो बहार-ए-बे-ख़बरी रही
गुल-ए-तर वही गुल-ए-तर रहा वही डाल डाल हरी रही

तिरी बे-रुख़ी की निगाह थी कि जो हर ख़ता से बरी रही
मिरी आरज़ू की शराब थी कि जो जाम जाम भरी रही

दम-ए-मर्ग भी मिरी हसरतें हद-ए-आरज़ू से न बढ़ सकीं
उसी काले देव की क़ैद में मिरे बचपने की परी रही

दिल-ए-ग़म-ज़दा पे गुज़र गया है वो हादसा कि मिरे लिए
न तो ग़म रहा न ख़ुशी रही न जुनूँ रहा न परी रही

वही 'तर्ज़' तुझ पे रहीम है ये उसी का फ़ैज़-ए-करीम है
कि असातिज़ा के भी रंग में जो ग़ज़ल कही वो खरी रही

  - Ganesh Bihari Tarz

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh Bihari Tarz

As you were reading Shayari by Ganesh Bihari Tarz

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh Bihari Tarz

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari