saanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gaaye ja
ai meri jaan-e-aarzoo tu yoonhi muskuraaye ja
husn-e-khiraam-e-naaz se jaadu naye jagaae ja
jab bhi jahaan pade qadam phool wahin khilaaye ja
aag laga ke hans kabhi ban ke ghatta baras kabhi
bikhra ke zulf-e-ambareen hosh mere udaaye ja
barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyaar ki sharaab
band na kar ye may-kade aise hi bas pilaaye ja
masti bhi hai samaan bhi hai mehfil-e-dilbaraan bhi hai
aise mein tarz jhoom kar rang-e-ghazal jamaaye ja
साँसों की जल-तरंग पर नग़्मा-ए-इश्क़ गाए जा
ऐ मिरी जान-ए-आरज़ू तू यूँही मुस्कुराए जा
हुस्न-ए-ख़िराम-ए-नाज़ से जादू नए जगाए जा
जब भी जहाँ पड़ें क़दम फूल वहीं खिलाए जा
आग लगा के हँस कभी बन के घटा बरस कभी
बिखरा के ज़ुल्फ़-ए-अम्बरीं होश मिरे उड़ाए जा
बरसों के बाद आँखों में छलकी है प्यार की शराब
बंद न कर ये मय-कदे ऐसे ही बस पिलाए जा
मस्ती भी है समाँ भी है महफ़िल-ए-दिलबराँ भी है
ऐसे में 'तर्ज़' झूम कर रंग-ए-ग़ज़ल जमाए जा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ganesh Bihari Tarz
our suggestion based on Ganesh Bihari Tarz
As you were reading Love Shayari Shayari