maahol saazgaar karo main nashe mein hoon
zikr-e-nigaah-e-yaar karo main nashe mein hoon
ai gardisho tumhein zara taakheer ho gai
ab mera intizaar karo main nashe mein hoon
main tum ko chahta hoon tumheen par nigaah hai
aise mein e'tibaar karo main nashe mein hoon
aisa na ho ki sakht ka ho sakht-tar jawaab
yaaro sambhal ke vaar karo main nashe mein hoon
ab main hudood-e-hosh-o-khird se guzar gaya
thukraao chahe pyaar karo main nashe mein hoon
khud tarz jo hijaab mein ho us se kya hijaab
mujh se nigaahen chaar karo main nashe mein hoon
माहौल साज़गार करो मैं नशे में हूँ
ज़िक्र-ए-निगाह-ए-यार करो मैं नशे में हूँ
ऐ गर्दिशो तुम्हें ज़रा ताख़ीर हो गई
अब मेरा इंतिज़ार करो मैं नशे में हूँ
मैं तुम को चाहता हूँ तुम्हीं पर निगाह है
ऐसे में ए'तिबार करो मैं नशे में हूँ
ऐसा न हो कि सख़्त का हो सख़्त-तर जवाब
यारो सँभल के वार करो मैं नशे में हूँ
अब मैं हुदूद-ए-होश-ओ-ख़िरद से गुज़र गया
ठुकराओ चाहे प्यार करो मैं नशे में हूँ
ख़ुद 'तर्ज़' जो हिजाब में हो उस से क्या हिजाब
मुझ से निगाहें चार करो मैं नशे में हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ganesh Bihari Tarz
our suggestion based on Ganesh Bihari Tarz
As you were reading War Shayari Shayari