na ab main pyaar kar saka hoon aur na daant saka hoon
jo baaki rah gaye hain din unhen bas kaat saka hoon
jo mil jaaye usi par iktifa karna hi padta hai
koi shay apni marzi se na ab mein chaant saka hoon
hua hoon jab se pension-yafta ye haal hai yaaro
na koi qarz deta hai na pension baant saka hoon
yahi kya kam hai khud-mukhtaar hoon main jab bhi jee chahe
tamannaon ke par udne se pehle kaat saka hoon
main apne waqt ke haathon mein hoon jaise chhatti ungli
na isti'maal kar saka hoon aur na kaat saka hoon
ghamon ki khair tedhi hi nahin gaadhi bhi hoti hai
na pee jaati hai ye aur na use main chaat saka hoon
uda kar dekh le koi patange apni shekhi ki
bulandi par agar hoon bhi to kanne kaat saka hoon
yahi taufeeq kya kam hai ki raunaq ko hansa kar main
dukhon ka bojh kam karne ghamon ko baant saka hoon
khaleej-e-bugz-o-nafrat gar dilon mein ho gai paida
use main khwaah-makhaah hanste-hansaate paat saka hoon
न अब मैं प्यार कर सकता हूँ और न डाँट सकता हूँ
जो बाक़ी रह गए हैं दिन उन्हें बस काट सकता हूँ
जो मिल जाए उसी पर इक्तिफ़ा करना ही पड़ता है
कोई शय अपनी मर्ज़ी से न अब में छाँट सकता हूँ
हुआ हूँ जब से पेंशन-याफ़ता ये हाल है यारो
न कोई क़र्ज़ देता है न पेंशन बाँट सकता हूँ
यही क्या कम है ख़ुद-मुख़्तार हूँ मैं जब भी जी चाहे
तमन्नाओं के पर उड़ने से पहले काट सकता हूँ
मैं अपने वक़्त के हाथों में हूँ जैसे छटी उँगली
न इस्ति'माल कर सकता हूँ और न काट सकता हूँ
ग़मों की ख़ैर टेढ़ी ही नहीं गाढ़ी भी होती है
न पी जाती है ये और न उसे मैं चाट सकता हूँ
उड़ा कर देख ले कोई पतंगें अपनी शेख़ी की
बुलंदी पर अगर हूँ भी तो कन्ने काट सकता हूँ
यही तौफ़ीक़ क्या कम है कि रौनक़ को हँसा कर मैं
दुखों का बोझ कम करने ग़मों को बाँट सकता हूँ
ख़लीज-ए-बुग़्ज़-ओ-नफ़रत गर दिलों में हो गई पैदा
उसे मैं 'ख़्वाह-मख़ाह' हँसते-हँसाते पाट सकता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Khah makhah Hyderabadi
our suggestion based on Ghaus Khah makhah Hyderabadi
As you were reading Love Shayari Shayari