main ne poocha ki ye kya haal bana rakha hai
na to mek-ap hai na baalon ko saja rakha hai
chhedti rahti hain akshar lab-o-rukhsaaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chadha rakha hai
muskuraate hue us ne ye kaha shokhi se
ek deewane ne deewaana bana rakha hai
jeb ghaaeb hai to nefa hai button ke badle
tum ne patloon ka paajamaa bana rakha hai
mashriqi rehan-sehan chaal-o-chalan maghrib ka
ham ne tahzeeb ka sheer-khurmaa bana rakha hai
gar sila doge mujhe meri wafaon ke evaz
maang loonga tumhein ina'am mein kya rakha hai
jo sabhi dekh chuke ham vo nahin dekhenge
vo dikhaao hamein jo sab se chhupa rakha hai
un ko aghyaar mohabbat se lagaate hain gale
mujh ko apnon ne bhi begaana bana rakha hai
zindagi maut ki tamheed hai par logon ne
mukhtasar baat ka afsaana bana rakha hai
log bhoolen na kabhi aisa takhallus rakhiye
naam to naam hai bas naam mein kya rakha hai
qaafiye aur radifon-o-takhallus ke siva
khwaah-makhaah aap ke ashaar mein kya rakha hai
मैं ने पूछा कि ये क्या हाल बना रखा है
न तो मेक-अप है न बालों को सजा रखा है
छेड़ती रहती हैं अक्सर लब-ओ-रुख़सारों को
तुम ने ज़ुल्फ़ों को बहुत सर पे चढ़ा रखा है
मुस्कुराते हुए उस ने ये कहा शोख़ी से
एक दीवाने ने दीवाना बना रखा है
जेब ग़ाएब है तो नेफ़ा है बटन के बदले
तुम ने पतलून का पाजामा बना रखा है
मशरिक़ी रेहन-सहन चाल-ओ-चलन मग़रिब का
हम ने तहज़ीब का शीर-ख़ुर्मा बना रखा है
गर सिला दोगे मुझे मेरी वफ़ाओं के एवज़
माँग लूँगा तुम्हें इनआ'म में क्या रखा है
जो सभी देख चुके हम वो नहीं देखेंगे
वो दिखाओ हमें जो सब से छुपा रखा है
उन को अग़्यार मोहब्बत से लगाते हैं गले
मुझ को अपनों ने भी बेगाना बना रखा है
ज़िंदगी मौत की तम्हीद है पर लोगों ने
मुख़्तसर बात का अफ़्साना बना रखा है
लोग भूलें न कभी ऐसा तख़ल्लुस रखिए
नाम तो नाम है बस नाम में क्या रखा है
क़ाफ़िए और रदीफ़ों-ओ-तख़ल्लुस के सिवा
'ख़्वाह-मख़ाह' आप के अशआ'र में क्या रखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Khah makhah Hyderabadi
our suggestion based on Ghaus Khah makhah Hyderabadi
As you were reading Zulf Shayari Shayari