ab to khud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta | अब तो ख़ुद से भी कुछ ऐसा है बशर का रिश्ता

  - Ghaus Mohammad Ghausi

ab to khud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta
jaise parvaaz se toote hue par ka rishta

koi khidki bhi nahin ab to jo baaki rakhti
mere ghar se mere ham-saaye ke ghar ka rishta

tum farishte hi sahi nazrein na badlo yaaro
kya farishton se nahin koi bashar ka rishta

mod aane do abhi saamne aa jaayega
kya hai aapas mein shareekaan-safar ka rishta

tu mere chaak-garebaan ko naya suraj de
jod jaaun main dhundlakon se sehar ka rishta

mere haathon ki lakeeren ye bataati hain mujhe
pattharon hi se rahega mere sar ka rishta

sab ke chehron ki kharaashein hain nazar mein ghausi
aainon se hai dil-e-aaina-gar ka rishta

अब तो ख़ुद से भी कुछ ऐसा है बशर का रिश्ता
जैसे परवाज़ से टूटे हुए पर का रिश्ता

कोई खिड़की भी नहीं अब तो जो बाक़ी रखती
मेरे घर से मिरे हम-साए के घर का रिश्ता

तुम फ़रिश्ते ही सही नज़रें न बदलो यारो
क्या फ़रिश्तों से नहीं कोई बशर का रिश्ता

मोड़ आने दो अभी सामने आ जाएगा
क्या है आपस में शरीकान-सफ़र का रिश्ता

तू मिरे चाक-गरेबाँ को नया सूरज दे
जोड़ जाऊँ मैं धुँदलकों से सहर का रिश्ता

मेरे हाथों की लकीरें ये बताती हैं मुझे
पत्थरों ही से रहेगा मिरे सर का रिश्ता

सब के चेहरों की ख़राशें हैं नज़र में 'ग़ौसी'
आइनों से है दिल-ए-आइना-गर का रिश्ता

  - Ghaus Mohammad Ghausi

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghaus Mohammad Ghausi

As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Writers

our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari