vo yaqeen paikar hai kis ka noor-e-deeda kaun hai
zulmat-e-shab mein charaagh-e-aasa dameeda kaun hai
gard-e-jaada kaun hai manzil raseeda kaun hai
waqt kya kehta hai suniye barguzeeda kaun hai
zahar-e-gham pee juz-o-jan kar phir bhi maut aaye to kya
yun bhi amrit ka yahan lazzat-chasheeda kaun hai
farsh se ta-arsh yaksaan hai sada-e-marhaba
dekhna ye sar-b-kaf ye sar-bureeda kaun hai
baat karte hain to munh se doodh ki aati hai boo
un mein apni mehfilon ka rang-deeda kaun hai
khaak se pa kar mafar kis ko na khush aaya safar
dil giriftaa kaun hai khaatir-kabeeda kaun hai
apne saaye par hi jab markooz the zehan-o-nazar
koi kyun kar dekhta qaamat-kasheeda kaun hai
jab dur-e-kirdaar par aanch aa gai kya rah gaya
ab ye sarf-e-maatam-e-rang-e-pareeda kaun hai
kis qadar shaistagi se kah gaya vo apna gham
doston ki khair ho dushman-gazeeda kaun hai
gham na kar ghausi agar murda nahin tera zameer
tujh se badh kar khud tira deeda-shuneeda kaun hai
वो यक़ीं पैकर है किस का नूर-ए-दीदा कौन है
ज़ुल्मत-ए-शब में चराग़-ए-आसा दमीदा कौन है
गर्द-ए-जादा कौन है मंज़िल रसीदा कौन है
वक़्त क्या कहता है सुनिए बरगुज़ीदा कौन है
ज़हर-ए-ग़म पी जुज़-ओ-जाँ कर फिर भी मौत आए तो क्या
यूँ भी अमृत का यहाँ लज़्ज़त-चशीदा कौन है
फ़र्श से ता-अर्श यकसाँ है सदा-ए-मर्हबा
देखना ये सर-ब-कफ़ ये सर-बुरीदा कौन है
बात करते हैं तो मुँह से दूध की आती है बू
उन में अपनी महफ़िलों का रंग-दीदा कौन है
ख़ाक से पा कर मफ़र किस को न ख़ुश आया सफ़र
दिल गिरफ़्ता कौन है ख़ातिर-कबीदा कौन है
अपने साए पर ही जब मरकूज़ थे ज़ेहन-ओ-नज़र
कोई क्यों कर देखता क़ामत-कशीदा कौन है
जब दुर-ए-किरदार पर आँच आ गई क्या रह गया
अब ये सर्फ़-ए-मातम-ए-रंग-ए-परीदा कौन है
किस क़दर शाइस्तगी से कह गया वो अपना ग़म
दोस्तों की ख़ैर हो दुश्मन-गज़ीदा कौन है
ग़म न कर 'ग़ौसी' अगर मुर्दा नहीं तेरा ज़मीर
तुझ से बढ़ कर ख़ुद तिरा दीदा-शुनीदा कौन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi
our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi
As you were reading Qabr Shayari Shayari