tumhaara dil to hamaare subhaav jaisa hai | तुम्हारा दिल तो हमारे सुभाव जैसा है

  - Ghaus Mohammad Ghausi

tumhaara dil to hamaare subhaav jaisa hai
hata ke chehre se chehra dikhaao jaisa hai

vo chookta hi nahin jis pe daav jaisa hai
hamein khabar hai wahan rakh-rakhaav jaisa hai

mujhe dhakel kar us ka zameer jaag utha
ab us ka haal bhi toofaan mein naav jaisa hai

to kya vo dast-e-mashiyat ka shaahkaar nahin
puraana yaar hai yaaro nibhaao jaisa hai

sunhare khwaab dikhaaye na aap hi dekhe
hamaara yaar hamaare subhaav jaisa hai

ubhar rahi hain naye khoon mein nayi qadren
khuloos mein bhi ghumaao firaav jaisa hai

ye aur baat ki dam de raha ho soz-e-daroon
bujha hua vo b-zaahir alaav jaisa hai

khulega khud vo kisi roz misl-e-band-e-qaba
na chhup sakega lahu mein rachaav jaisa hai

vo us ka haal-e-zaboon us pe khanda-e-be-baak
haseen samaaj ke chehre pe ghaav jaisa hai

hai apni peeth ka har zakham aaina ghausi
mere rafeeqon ko mujh se lagaav jaisa hai

तुम्हारा दिल तो हमारे सुभाव जैसा है
हटा के चेहरे से चेहरा दिखाओ जैसा है

वो चूकता ही नहीं जिस पे दाव जैसा है
हमें ख़बर है वहाँ रख-रखाव जैसा है

मुझे धकेल कर उस का ज़मीर जाग उठा
अब उस का हाल भी तूफ़ाँ में नाव जैसा है

तो क्या वो दस्त-ए-मशिय्यत का शाहकार नहीं
पुराना यार है यारो निभाओ जैसा है

सुनहरे ख़्वाब दिखाए न आप ही देखे
हमारा यार हमारे सुभाव जैसा है

उभर रही हैं नए ख़ून में नई क़द्रें
ख़ुलूस में भी घुमाओ फिराव जैसा है

ये और बात कि दम दे रहा हो सोज़-ए-दरूँ
बुझा हुआ वो ब-ज़ाहिर अलाव जैसा है

खुलेगा ख़ुद वो किसी रोज़ मिस्ल-ए-बंद-ए-क़बा
न छुप सकेगा लहू में रचाव जैसा है

वो उस का हाल-ए-ज़बूँ उस पे ख़ंदा-ए-बे-बाक
हसीं समाज के चेहरे पे घाव जैसा है

है अपनी पीठ का हर ज़ख़्म आइना 'ग़ौसी'
मिरे रफ़ीक़ों को मुझ से लगाव जैसा है

  - Ghaus Mohammad Ghausi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghaus Mohammad Ghausi

As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Writers

our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari