ghuroor-e-naaz dikha tujh mein kitna jauhar hai | ग़ुरूर-ए-नाज़ दिखा तुझ में कितना जौहर है

  - Ghaus Mohammad Ghausi

ghuroor-e-naaz dikha tujh mein kitna jauhar hai
mera khuloos bhi dariya nahin samundar hai

parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko
pighal gaya to vo sheesha hai warna patthar hai

khala-navard ko yaaro faraaz-e-manzil kya
ki ab to us ka har ik par bajaae shahpar hai

adawaton ko fana kar diya mohabbat se
mujahide mein mohabbat hi apna khanjar hai

suboot-e-bai't-e-peer-e-haram ye hai to sahi
ki aaj tak kaf-e-dast-e-rasa munavvar hai

mujhe zaroorat-e-ghaaza nahin ki chehre par
mere zameer ka jo rang hai ujaagar hai

sitaara-e-sehr-aasaar hai jo ai ghausi
ghubaar-basta abhi us ka pesh-manzar hai

ग़ुरूर-ए-नाज़ दिखा तुझ में कितना जौहर है
मिरा ख़ुलूस भी दरिया नहीं समुंदर है

परख यही है मोहब्बत की आँच दो उस को
पिघल गया तो वो शीशा है वर्ना पत्थर है

ख़ला-नवर्द को यारो फ़राज़-ए-मंज़िल क्या
कि अब तो उस का हर इक पर बजाए शहपर है

अदावतों को फ़ना कर दिया मोहब्बत से
मुजाहिदे में मोहब्बत ही अपना ख़ंजर है

सुबूत-ए-बैअत-ए-पीर-ए-हरम ये है तो सही
कि आज तक कफ़-ए-दस्त-ए-रसा मुनव्वर है

मुझे ज़रूरत-ए-ग़ाज़ा नहीं कि चेहरे पर
मिरे ज़मीर का जो रंग है उजागर है

सितारा-ए-सहर-आसार है जो ऐ 'ग़ौसी'
ग़ुबार-बस्ता अभी उस का पेश-मंज़र है

  - Ghaus Mohammad Ghausi

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghaus Mohammad Ghausi

As you were reading Shayari by Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Writers

our suggestion based on Ghaus Mohammad Ghausi

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari